Friday, March 29, 2013

Pyar Possible


Doston ye kahaani hai pyaar ki. Ab aap soch rhe honge lo phir wahi baasi love story hogi. amma kitne baar ek hi story ko tod marod ke bologe...baar baar kehne se dilchasp nhi ban jaati. But doston....har Love story special hoti hai. Ye aap tab samjhenge jab aapko pyar hoga. Haan Haan Maloom hai, sab filmy hai. Par doston Pyar ek aisi cheez hai jisko kucch log khuda maante hai, kucch jaadu to kucch vishwaas hi nhi karte. Sabka apna apna version hota hai pyar ka. But Pyar ki sirf ek hi definition hai aur wo aap tab samjhoge jab aapko pyar hoga .Filhal ye kahaani suniye. Ye kahaani hai meri. Aapke hi tarah main bhi ye pyar vyaar mein vishwaas nhi karti thi. Waise sorry sorry aapko abhi tak introduce nhi kara, Mera naam hai Simran. Pata hai Pata hai, Main wo DDLJ ki raj ki simran nhi hoon, Jisko dekho mere college mein yehi bolta rehta hai Jaa simran jeele apni zindagi , mujhse dosti karogi. Tang aa gayi hoon is Shahrukh Uncle se....Filmon mein aise bhaari bhaari dialogue phek dete hain aur hum jaisi ladkiyon ko sehna padta hai. Doston main pyar vyaar mein believe nhi karti. Mera to bas itna hi manna hai, ki jo dikhta hai wahi hota hai. Maine kabhi nhi dekha ye pyar naam ke keede ko. Haan Mummy Papa bahut care karrte hain, khayal rakhte hai meri zarooraton ka. Bas mere liye itna hi kaafi hai. Dekha hai maine apne doston ko is kambhakhat bimaari mein. Ya to apne boyfriends se jhagadti rahengi ya phir roti rahengi. Koi khush nhi rehta. Mujhe bas apni zindagi jeeni hai, padai karni hai, ek acche makam pe pahuchna hai, bahut saare paise kamaane hai, duniya ghoomni hai. Aur baad mein mummy papa koi ladka to dhoondh hi lenge mere liye. Ab itna pyar karte hain mujhse accha hi ladka dekhenge. Ab pehle se hi main apni shaadi ke chakkar mein pad ke kya karoon. Is liye yehi hai meri zindagi. No pyar only rar. Jee haan Main aajkal rar yaani reengeenering and redesign naam ke ek subject pe research kar rhi hoon. Engineer hoon Mechanicall, IIT delhi se, Mtek kar rhi hoon wahin se. Arre aapse baat karne mein main class ke liye late ho gayi.. aaj to miss hogi class. Priya chal.. Priya meri roommate hai 6 saal se. Hum 4 saal Btech mein ek saath the aur saath hi Gate ka exam clear kiya aur ab bhi saath hi hai. Is priya ka ek chipku Boyfriend hai. jab dekho iske liye kucch na kucch laate rehta hai, kabhi chocolates, kabhi flowers. Aur ye Priya badi chaalo hai,, saari chocolates mujhe de deti hai taaki moti na ho jaye. Priya jaisi ladkiyaan sirf do cheezon se darti hai ek motape se aur doosra pimple se. Par mennu koi farak nhi penda hai. Meri to fultoo aish hai. Ab aap soch rah honge, Moti hogi choclate khaati rehti hai. Just for your information , aaj bhi 10 ladke peeche paade hain mere, Ji main us type ki ladki hoon, jo kucch bhi khaale , main moti nhi hoti. Meri genes hi aisi hai. Kahaan thi main... Oyyi Maa meri class. Priya soti reh raat bhar bf se baat karegi to kya khaak class karegi. chhod main jaa rhi hoon.
Main class mein Pahuchi. Arre aaj to sunday nhi hai...ye class khaali kyon hai, arre ye kya likha hai" Due to Orientation for 1st years the class has been postponed for tomorrow"...Ohh no...aaj mere itne sare doubts the , ab itna wait karna padega, Main jaise hi peeche mudi waapas hostel jaane ke liye, itne mein hi ek ladke ki awaaz aati hai peeche se" Kya main aapki madad kar sakta hoon". Mera to heart fail hi ho gaya maano. Khaali classroom mein abhi tak to koi nhi tha...ye kaun tapak pada ek dam se. Main bagal mein dekha. Theek mere peeche ek seat pe, blue shirt, cordroy ke pant mein ek theek thaak sa ladka mere taraf dekh rha tha, aur soch rha tha main kucch jawab doon. Maine man hi man bola.. Lo gyarwa aa gaya. Ab aap soch rhe hoonge Kuuch zyada hi overconfident hai. Doston..mujhe na bahut experience hai. Ye ladke sochte hai wo bahut chaalo hote hai, ye nhi jaante hum ladkiyon ko. Inke ek ek word mein kya kya chhupa hota hai, iska mujhe acchi tarah se andaza hai. Pehle kahenge friends banna hai, aur phir chupke se dhokha de ke kahenge Jaanu main tumse pyaar karta hoon. Arre aakhir ek ladka aur ladki dost nhi ho sakte kya. Aur ye waala jo ye
blue shirt waale mahashay phek rhe hai...Pehle ladkiyon ke doubts clear karo aur phir unki zindagi ke. Sab maaloom hai mujhe. Maine bhi check mate karte hue bola " Not interested" aur wahaan se nikal gayi. bade aaye Doubts clear karne waale.
Aap soch rhe honge main battameez hoon. Haan shayd hoon..Kaafi log kehte hain. Mostly ladke hi. Doston main ye maanti hoon ki agar mujhe kabhi pyar hoga to wo filmy waala nhi...Ghanti bajne waala nhi, guitar waa;a bhi nhi , and not even wo kuuch kucch hota hai waala. wo sab meri life mein nhi ho sakta. Agar main ek second ke liye maan bhi loon ki Pyar kucch hota hai, to according to me Main apne marzi se pyar karoonga , Main decide karoongi ki main kaise feel karoon. Main naye sire se pyar ko define karoongi. Aakhir Mtech Kar rhi hoon IIT delhi se wo bhi mechanical enginnering mein, koi chhoti baat hai. Top ka colleg hai ye. Itni to heart ki mechanics jaanti hooon main ki Pyar ko discover kar paon. Khair chaddo. Agle din wo phir mila. Priya ne bataya.....Priya, super Gossip girl hai... sab info rakhti hai ladkon ke baare mein...khas kar Hot ladko ke baare mein. Main ye nhi keh rhi wo Hot tha.. Haan thoda sa tha. Ab Pyaar mein vishwaas nhi karti to iska matlab ye nhi hai ki main ladki nhi hoon. Ab thoda to main bhi notice karti hoon. Khair, wo darasal lateral entry tha...Direct IIT roorkee se aaya tha IIT delhi.Uske Papa professor the IIT mein, wo IIT delhi ke chairperson ban gaye the, Physics department ke, to unka beta jinka naam "Pata nhi kya bola tha us priya ne" yahaan transfer le liya tha. Wo mere taraf phir dekhne laga. Class abhi shuru nhi hui thi but na jaane kyon uski nazar mere se hat hi nhi rhi thi. Ab ladki hoon, paat chal jaata hai kaun sa ladka meri taraf dekh rha hai. Itna sixth sense hai hum ladkiyon mein. Khair acchanak mai kya dekhti hoon wo mr blue shirt mere taraf hi aane laga. Bagal ki seat khaali padi thi. Maine fauran hi apna bag wahaann rakh diya. Achanak hi wo mere paas ruk ke bola..."Ji...aap mujhe galat samjh rhi hai...Mera matlab aapke doubts clear karna hi tha, kucch aur nhi. Mai darasal yahan naya hoon aur maine socha ki nye dost bana loon. Kal main wahaan class mein baith ke rar hi pad rha tha ki aap aa gayi. Mujhe laga shayad main aapki madad kar paon To isliye Maine aap se bola jo maine kal bola.
Main aag babola ho ke boli. Dekhi mr Blue Shirt. Aapko koi baat samjh nhi aati, i am genuinely Not Intersted. Main yahaan padne aayi hoon dosti karne nhi aur haan doubts clear karne ke liye verma sir hai abhi zinda unse poonch loongi. Aap jaise ladko ke vajay se hi IIT aaj itna badnaam hai, Pehle doubts clear karenge, Phir dosti karoge, Phir study group banoge, phir ksiii bahane...suno coffe peene chalogi and phir propose...Appki life cycle dosti se start hoti hai aur pyar pe khatam. Maine kal bhi kahaa tha aaj bhi wahi kahoongi..I am Not interested. mera time waste mat kariye ab. Wo ladka chup chaap rondi si surat bana ke wahaan se nikall gaya. Ahhh thoda bura laga mujhe.Hain insaan hoon main bhi, haivan nhi. But kya kehte hain usko..aadat se majboor hoon. But aakhir usi ka bhala to kar rhi hoon...kal ko dil laga baithta mujhse aur main phir mana kar deti usko hi dard hona tha ganda waala jaise mere rommate priya ko hua tha jab ek ladke ne mana kar diya tha usse. Pure ek hafte tak room se nhi nikli thi wo. Kahin na kahin andar hi andar main bhi shayad darti thi us dard se. Aur sach bolon to aisa dard main kisi ko bhi nhi dena chahti thi. Tabhi its better ki shuru mein hi straight bol do. Not even friends go to hell. Asli hell se bacch jayega jis haalat mein maine Priya ko dekha tha. Itni buri nhi hoon main, ye dard us dard ka ek fraction bhi nhi hoga.Uska pura agla hafta main badi mushkil se verma sir ke peeche pad pad ke apne saare doubts clear kare. kisi tarah mujhe Reinformed Redesign ka principle samjh aa hi gaya. main bahut khush thi.
Doston main thodi padako type hoon. Padai main marks ya apne parents ko impress karne ke liye nhi karti. Accha lagta hai pad ke. Aisa lagta hai koi game khel rhi hoon, jiske rules samjh rhi hoon saare concepts pad ke. Maza aata hai. Isliye khush thi. Saare notes banati thi main, sab kucch likhti
thi...Kayio ka kehana tha ki agar wo notes leak ho jaaye to acchi khaasi book ban sakti hai. main bas jhoom jhoom ke chali jaa rhi thi ki itne mein hi agle hi second mera paaw farsh pe pade paani se fisal jaata hai aur main neeche gir rahi hoti hoon, ki Guess kariye...Mr Blue shirt mujhe apni baahon mein pakad ke khade hain. Saare mere notes uss paani mein bheeg jaate hain. Kisi tarah sambhal ke main balance sambhal ti hoon. Tab tak saare notes bheeg chuke the. Itni mehnat se kara saara kaam kal ki class ka assignment sab barbad ho chuka tha. Main gusse mein boli..." hadd hai Filmi panti ki, bahut famous scene hai filmo ka....jaanti hoon main, pehle paani girao, phir ladki ke girne ka intezaar karo, usko bahoon mein lo, aapki sui wahin par atki hai...kitne baar kahoon Not Interstted...ab aap khuda ke liye mera peecha karna chhodo ge ?"
Wo ladka kucch nhi bola. Main apne hostel ke gate pe ghooste waqt koni aakhon se dekha...wo wahin khada tha....shayad thoda dukhi sa lag rha tha. Par theek hai...Main jaanti hoon main usko bahut bade dard se baccha rhi hoon.Pyar ke dard se. yehi bol ke maine apne aap ko console kiya aur mera dil jo thoda guilty sa feel kar rha tha, thoda shaant hua. Time kiske paas hai.Ab saare notes phir se banane honge, assignemnet phir se karna hoga. 1 hi page kiya hoga assignemnet us raat ko maine ki mere aankh lag gayi.
Agle din phir wahi hua jiska mujhe dar tha. Main wahi aagey ki set pe baithi Verma sir ka intezaar kar rhi thi ki wahi blue shirt chupke se aaya aur bola.."Ji aap phir galat samjh rhi hai, Maine wo paani nhi giraya tha, Main bas wahaan se guzar rha tha ki aap ek dum se fisali aur ek ka ek maine aapko pakda,jitna girna aapke liye reflex action tha utna hi mere liye. Ye aapke notes. Bheeg gaye the. Maine kal raat baith ke phir se likh diye hai. Umeed hai ab aap naraz nhi hongi.
Meri to bolti band ho gayi. Oye beta. karib 100 a4 size ke paper the. Is Blue shirt ne puri raat jag ke wo likhe, mera itne daantne ke baad bhi. Ye koi pyscho case to nhi. Waise maine is baar usse kucch nhi bola.Daant bhi nhi lagai. Jaisa bhi tha mujhe accha laga, maine bas ek halka sa thank you bol ke wo notes le liye. Wo ladka bhi chupke se wahaan se khisak liya. Waise sach kahoon to shayad....main phir keh rhi hoon...Shayad pehli baar mujhe kucch feel hua. I dont know kya tha, but ek tarah ka ek tarah ki khushi keh lo, ab main shayar wayar to hoon hu hi, thoda happy happy feel kiya maine, accha lagne laga tha uska behaviour. Par main to main hoon. Bilkul bhaav nhi diya maine. Pata tha usko aur apne aap ko pyar ke dard se baccha rhi hoon. Main lag gayi apni padai mein, exams aa rhe the aur bahut padai thi. Ab to notes bhi aa gaye the to thoda kam bojh tha. Agle din ki class mei, roz hi ke tarah main aagey ki seat pe baithi thi, roz hi ki tarah sara topic pad ke doubts peechle panne pe likh ke aayi thi ki jaise hi class shuru ho fat se pooch loon, roz hi ki tarah priya apne boyfriend se baat kar rhi thi aur faaltu ke bhaav kha rhi thi, but roz hi ke tarah aaj wo blue shirt mere paas nhi aaya aur aaj roz hi ke tarah na jaane mera man kyon bechain sa ho gaya, aakhon ko lakh samjhaya ki mat djoondh usse, par najane kyon control hi nhi hua, aur apne aap hi aakhen usse dhondhne lagi. Wahi kone ke seat pe baitha tha wo. Meri taraf nhi dekh rha tha, apni kisi book mein mast tha. Ye mujhe kya ho rha tha. kya main us dard ka shikar ho rhi thi jiske wajay se ye priya ek hafte se kamre se nhi nikli thi. Doston baat sirf wo ek haafte ke nahi thi. priya meri bestest friend hai. Jo wo feel karti hai mujhe pata chalta hai. main jaanti hoon uske x bf ne kis tarah break up kiya tha, aur jab wo news priya ko pata chali, to main priya ko dekhti hi reh gayi. Ek laash ke tarah ban gayi thi priya, na khaana na peena, baat bhi karti thi to lagta tha,apne aap ko hi koons rhi hai. usse tab bhi yehi lag rha tha ki kahin uske pyar mein kami reh gayi hogi isliye us ladke ne breakup kiya. Doston ye man hai na man,hamara sabse bada dushman hota hai jab dekho humme konsta rahega, guilty karata rahega. Rahul,uska bf, videsh jaa ke padna chhata tha, Long distance relationship nhi chalte sab ko
pata hai. par jo trend hai uski wajay se koi rishta thodi na tod leta hai. Koi kisi ka dil kaise tod sakta hai. jaise hi Jimmy bhaisahab ka american north western university mein admission hua, unhone seedha breakup kar diya. Aur yahaan Priya sochti rahi ki uske pyar mein koi kammi reh gayi hogi isliye Jimmy chala gaya. Kaise sambhala hai maine apni Priya ko main hi jaanti hoon. Main raat bhar nhi soti thi taako wo chupke se bahar jaaa ke suicide naa kar le, ek hafte tak college nhi gayi, taaki usko paani khaane ke liye poochne waala koi to ho. Doston wo breakup se ek nhi 2 dil toonte the. Priya ko maine kisi tarah mahine do mahine mein waapas jeevit kiya, Back to life laayi Par mera pyar se hamesha ke liye vishwaas uth gaya. Main nhi belive karti is pyar naam ki chidiya mein. Aakhir end mein kya hua, sirf Dard hi to mila Priya ko. Haan Priya ko dossri baar pyaar ho gaya, acchi baat hai, par us kamine Jimmy ke vajay se mera vishwaas hamesha ke liye uth gaya tha pyar se. Main nhi maanti is pyar vyar ko.
Yehi soch ke maine apni aakhen us blue shirt se mod li, waapas apna dhyaan un doubts pe lagaya aur aakhen verma sir pe. Ab sirf wahi hai mere sab kucch mere daata mere guru. Haala ki, ek counter argument to tha mere paas mere chanchal man ko rokne ka, par doston ye man na planning se , control se nhi chal sakta. ye jaisa chahta hai waisa nhi hota hai. Agle din phir wahi hua, Priya roz ki tarah apne naye bf se jaanu Ilove you jaanu aap kab aaoge bol rhi thi, roz ke tarah wo blue shirt kone mein baitha tha aur roz ke tarah mere aakhen uske taraf thi. Maine man ko khoob samjhaya, arre pad le do din meine exam hai, mat dhoondh usse , mat dekh uski taraf. Par kambhkhat man maana hi nhi. ussi blue shirt ke tarah aakhen gadi hui thi, intezzar kar rhi thi ki wo book se nazar hata ke mere taraf dekhe.Par usne aaj bhi nhi dekha.
Shayad naraz tha wo bichara ya dar gaya tha mere dhamki bhari baaton se. But hello..ye mujhe kya ho gaya tha...kab se main itna non battameez tarike se sochne lagi uske baare mein, kab se main usse bichaara bolne lagi. Kya ho gaya hai mujhe... Kya isse kehte hain pyar...Nhi nhi...I am very sure ye pyar nhi ho sakta kyon ki pyar mein to khushi milti hai...Aur mujhe to sirf bechaini thi. Hatto.. Dimaag kaharab ho gaya hai aur kuuch nhi. chalo verma ji kya keh rhe hain sunno.
Doston, Pyar kya hota hai main nhi jaanti par agle din jo hua us din ko main aaj bhi nhi bhool payi hoon. I dont know us din ne mujhe pyar se milwaya ki nhi par asli simran se zaroor milwa diya. Wo simran jo kab se dar ke kahinn andar chuupi baithi thi. Us din main aur priya saamne waali manish market ke ccd mein baithe cheese sandwitch aur coffe pee rhe the. Priya pehli baar phone pe nhi thi, aur main pehli baar to nhi bahut dino baad sandwitch ki oor dekh rhi thi kone ki seat pe baithe blue shirt ko nhi. Haala ki man bahut chaha ki dekh lo apne aas paas, kya pata wo blue shirt waala yahin mil jaye, par bahut soch ke man ko sambhal liye fisalne se. Shayad wo paani pe fisalna, aur uski baahon mein girna hi mera aakhri fisalna tha. Main aur nhi fisalna chhahti thi. Main coffee pee hi rhi thi ki priya ek dum se boli, Simran 2 oclock pe dekh wahi IIt Roorkie waala hottie, Maine fat se dekha to wahi blue shirt khada tha sadak ke doosri oor. Blue shirt mein nhi green tshirt mein tha, par naam to pata hi nhi tha to main usse blue shirt hi bolti. juice pee rha tha wo, ek ladke ke saath,shayad uska dost tha wo , uske saath tha. Maine uske taraf dekha, Main laakh chahte hue bhi apni aakh usse hata nhi saki. Ek dum se hi uski nazar mere pe padi. Bahut dino baad humari aakhen mili thi. Pata nhi kya hua us waqt, coffee ka asar tha, ya wo cheese sandwitch ka ki mera righthand apne aap table se uth gaya aur uski taraf wave karne laga. Man kar rha tha usse baat karne ka, usse sorry bolne ka. Main apne seat se uthi bhi aur uski taraf badne bhi lagi. I dont know kya ho gaya tha mujhe, kya karna chahti thi main. Bas paaglon ki tarah bade jaa
rhi thi uske taraf. Aisa paagalpan pehli baar feel kar rhi thi. Shayad guilt tha battammezzi ka jo is paagalpan mein convert ho gaya tha. Achanak se main kya dekhti hoon, wo blue shirt bhi meri oor badne laga. Ek hassi thi uske chehre pe..By god, bahut cute lag rha tha, thoda handsome bhi tha. Main pagalon ki tarah uski taraf chal rhi thi. Sach bata rhi hoon doston, us samay mujhe kuuch aur dikh hi nhi rha tha uske alawa, bas wo uski wo cute si smile dikh rhi thi. Kya isse pyar kehte hai. kya pyar ka matlab dar to mujhe pata hi tha, paagalpan bhi hota hai..I dont know. Man kar rha tha shayad usse baat kar ke pata chal jaaye. Lets see. Main hi kehti thi na jo dikhta hai wahi hota hai, aaj dekh lete hai kya kucch dikhata hai mujhe uske man mein aur phir mere man mein. Kya ye baichani ka koi jawab hai pyar mein, Kya pyar mein khushi bhi milti hai jaisi aaj pehli baar mujhe mehsoos ho rhi thi. Par ek dum se hi uske chehre pe ek ajeeb si chinta jhalakne lagi, bahut ghabra sa gaya. Main bhi ghabrane lagi ye soch ke ki wo kyon ghabra rha hai. Maine apni speed tez kar li, usne bhi apni speed tez kari, haath dikha kar rukne ka ishaara kar rha tha ujeh.
Mujhe uss waqt kucch samjh nhi aa rha tha, Ik dum se , wo mere taraf kuddta hai, aur kuud kar muhe peeche dhakelta hai. Main apne aap ko sambhal hi paati ki agle second main kya dekhti hoon ki bahut tez tyre ki scratch ki awaaz aati hai, aur blue shirt road pe khoon se lad pad pada hua hai. Ek truck ke tyre ke neeche khoon hi kkhoon tha aur 2 hi sec mein saari ccd aur agall bagal ki bhhed wahaan ikattha ho gayi mEri aakh abhi bhi uske taraf dekhti rhi. Dheere dheere usne apni aakhen band kar li. Mujhe samjh mein aaya kya hua wahaan pe. Main fat se uske khoon bhare chere ko apne rummal se saaf karne lagi aur jitna bahut first aid kar sakti thi kari.Bagal mein Priya ek uncle se help maang rhi thi, uncle acche the tayar ho gaye apni gaadi mein blue shirt ko le jaane ke liye. Priya aagi waali seat pe thi aur main peeche waali seat pe uske sir ko apni god mein rakhe hue barabar usse dekh rhi thi. Itne mein hi priya boli, zara uski saas to dekh simran chal rhi hai.Main jaise pathar ban gayi hongi. Aisa dar maine kabhi nhi mehsoos kiya. Main us blue shirt ka naam tak nhi jaanti thi, aur is blue shirt ne mere liye apne aap ko truck ke saamne fek diya. Uski saanse chal rhi thi. Maine apne aap ko sambhala. Apne aap ko man kons rha tha. Keh rha tha ki Simran tu tab bhi nhi samjhi jab usne raat bhar, baith kar tere liye notes banaye the, tu tab bhi nhi samjhi, jab pehli hi baar wo tere doubts clear karna chahta tha, teri madad karna chhata tha aur shayad tu aaj bhi nhi samjhi jab usne teri jaan bachane ke liye apni jaan tere haathon mein de di. Aur ye sab tab jab tune, ek boond pyar nhi diya usse, hamesha se batammezi se baat ki. Kyon kiya aakhir tune aisa...Taaki usse wo pyar ke dard se baccha paye. Arre agar wo bachega tab usse dard hoga na. Agar pehle hi din dhang se baat kar li hoti, to shayad dost hota wo mera. Kam se Kam Zinda to rehta. teri battameezi ne aaj uski jaan le li to, kya maaf kar payegii tu apne aapko. Kya jee paegi ye jaan ke, ki koi tujhse itna pyaar karta hai aur tu usko ek baar dhang se hi nhi bol paayi. Kaise saamna karegi tu apna. Us samay ek taraf man apne aap ko kons rha tha to ek taraf man bechain ho rha tha, bhagwaan se uski zindagi waapas maang rha tha, baar baar sadak pe dekh rha tha ye dekhne ke liye ki hospital aaya ki nhi. Hospital pahuch kar fauran hi usse ICU shift kiya gaya. 3 ghante ke operation ke baad, doctor bahar nikle aur bole, yahaan unke ghar se kaun hai. Main fauran aagey badi aur boli, ji main hoon doctor, kaise hai ye ab. Doctor bola,' fikar mat karo beti ab khatre ke bahar hai, thodi der mein hosh mein aa jayega.
Mujhe jaise us waqt doosra jeevan mil gaya ho, jo raahat mujhe mili us samy main hi jaanti hoon. Main uske room pe gayi. Abhi usse hosh nhi aaya tha. Priya tab tak hospital ki formalities nibha rhi thi,uncle ke saath. Blue shirt bed pe leta hua tha, uske pair pe plaster tha aur maathe pe patti. Maine chupke se apna sir uske chaati pe rakh diya aur foot foot ke rone lagi. achanak hi mujhe ek haath
apne kandhon pe mehsoos hua aur ek awaaz aayi. "main theek hoon, ghabrao mat."Main phauran sir uthaya aur uske taraf dekha. wo abhi bhi has rha tha.
Doston wo ladki jo pyar mein believe nhi karti thi, wo ladki jo pyar ke dard se pyar ko karne se darti thi, wo ladki jo patthar ban chuki thi aaj ek hospital pe pade ladke ki ek cute si haasi pe fida ho chuki thi, Aaj usse pyar ho gaya tha. Aur haan mere andar koi ghanti, guitar ya kucch kucch hota hai types nhi hua. Bas ekk ehsas hua, ek ehsaas ki koi hai jo tumhare liye apni jaan bhi de sakta hai, ek ehsaas ek aadmi ka jo lakh bataameezi ke baad bhi abhi bhi gussa karne ke bajay has rha tha,ek ehsaas pyaar ka. wo phir bola " Meraa naam Raj hai aur aapka ?" bas itni si thi ye kahani

No comments:

Post a Comment